Monday 22 March 2010

Mai Khwab Hu .....

Mai khwab hu teri rato ka, subah hogi aur mit jaunga,
Aur ye bhi wada nahi karta fir kab laut kar aaunga.


Mai khwab hu bas achcha hoga, aankho me hi rahne de muzko
Kyu palko me chhupake rakha hai, ashko me hi bahane de muzko.
Ye mashwara hai Meri khatir apna sukun barbad na kar,
Aitbar nahi mera koi mai kab tutkar bikhar jaunga.
Aur ye bhi wada nahi karta fir kab laut kar aaunga.

Mai mahtaab hu teri khatir, teri tanhai kuchh kam karta hu,
Khamosh andheri rato me shayad kuchh roshani bharata hu.
Par tuzko bhi hai ilm, sahar jo sabse badi haqikat hai,
Raat khilunga band aaknho me khulte se murzaunga.
Mai khwab hu teri rato ka, subah hogi aur mit jaunga.

Kucchh khwab raatbhar chubhate rahe,Teri aankhe aksar ye kahati hai
Itna aziz kyukar ho khwab, kyu itna dard wo sahti hai.
Mai waqt tha tera jo shayad aaya tha aur ab beet gaya,
Na wo lamhe kaid tu kar payi, na mai khudko dohraunga
Aur ye bhi wada nahi karta fir kab laut kar aaunga.

Khwabo ke sahare jine ki nakam si koshish chhod bhi de,
Jo judaa nahi tha vakai me, us rishte ki dor ko tod bhi de,
Mai haar chuka sab kuchh apna tu fir bhi jeet nahi payi
Ab bas jaan bachi hai deneko aur kuchh bhi na ab de paunga.
Aur ye bhi wada nahi karta fir kab laut kar aaunga.

No comments: