Thursday 29 October 2009

In Dino....

In dino har ek chiz me magruri lagati hai,
Saans lena bhi jaise koi majburi lagati hai.

Daur wo aur tha, tameezdari-au-adab ka shayad,
Aajkal tahjeeb bhi ji huzuri lagati hai.
Saans lena bhi jaise koi majburi lagati hai.

Dur se har shaks har ek rishta kameel sa hai,
kareeb aao to har ek baat adhuri lagati hai.
Saans lena bhi jaise koi majburi lagati hai.

Mayane kurbat ke bhi badale hai jamane ke sath,
Aajkal dosti me bhi bate buri lagati hai.
Saans lena bhi jaise koi majburi lagati hai.

Nahi mumkin hai yu hi jeena isi haal me 'shafak',
tabdili halato me bahot jaruri lagati hai.
Saans lena bhi jaise koi majburi lagati hai.

Maine aksar....

Maine aksar kai rato ko rote bilkhate dekha hai,
Pal pal katate aur subah ki rah ko takate dekha hai.

Abro ki bhid se jab falak ka sina bhar bhar aata hai, (Abr: badal)
taro ki chadar ko chand ka chehara dhakate dekha hai.
Maine aksar kai rato ko rote bilkhate dekha hai.

Ishq ki bate chhod hi do, ishq kisine jana kab,
Ishq ke naam pe aksar logo ko parakhate dekha hai.
Maine aksar kai rato ko rote bilkhate dekha hai.

Wo jo aksar kahate hai mere aashiqui ka unko ilm nahi, (ilm:Jankari)
mere jikar pe sharm se unki nazaro ko zukate dekha hai.
Maine aksar kai rato ko rote bilkhate dekha hai.

Shayad ashko ke bojh se uski nazare zuki zuki si hai,
Kabhi inhi aankhose dilkash khwabo ko chhalakate dekha hai.
Maine aksar kai rato ko rote bilkhate dekha hai.

Achcha hai koi to hai tum rutho to tumko manata hai,
maine to apne ashko ko galo pe hi sukhate dekha hai.
Maine aksar kai rato ko rote bilkhate dekha hai.

Saturday 24 October 2009

Raftah : Chapter 2

Nuktaa ke bare me agar muzase puchha jaye to wo sirf ek insaan nahi balki ek bada mushkil nazeer hai jine ke ek aise tarika ka jisme sahi ya galat jaisi chizo ke liye koi jagah nahi hai, haan ye bhi sahi hai ki wo samaj, sanskar jaise in bhari bharkam shabdo ko sirf shabd hi samazkar jita hai.Uske kamare ko dekhane ke bad muze aaj bhi uske jine ke andaj me rattibhar ka bhi badalav mahsus nahi hua. 8 saal kisi chiz ko sambhale rakhna vakai mushkil hota hai aur jine ke tarike ko sambhalana meri soch se pare hai. Nuktaa ke kursi ke bilkul niche, ek kitab ke bich, ek kagaj rakha hua tha, kitab ka naam to yaad nahi kyuki muze us panne me kya hoga isme jyada dilchaspi thi. Mai apni jagase utha aur us kagaz ko us kitab se nikalkar fir apni jagah baith gaya. Kuchh ladkhadate lafz bikhre hue the us panne par, saaf nazar aa raha tha ki ye Nuktaa ki kalam hai. Adhuri nazm thi, pahale misre ko padhate hi apne aapko Wah! kahane se nahi rok paya. Uske shabdo ka kayal mai jamane se raha hu aur 8 saal bad bhi uski gazalo aur nazmo ka jayaka barkarar tha mere jahan me. Nazm kuchh yu thi:


ख्वाब चुभते है रातभर आखो मे
कर्वटो मे रात का सफर तय होता है.
अन्धेरे को घुरती रहति है आखे,
निन्द मुझको तलाशती है और मै निन्द्को.
जीन्दगि जैसे एक पढी हुइ किताब बन गयी है,
सब कुछ पता है क्या होना है,
ना ही दिलचस्पि बची है न......


Lafzo ki bunai me Nuktaa ka andaz kafi alag hua karta tha aur masha allah aaj bhi wahi bariki aur khubsurati padhane ko mili. Uski adhuri nazm me bhi wo luft mila jo shayad kai mukkamal gazalo me nahi mila tha pichhale kuchh saalo me.
Nuktaa ki cigret bhi apni aakhari saanse gin rahi thi, achanak usne muzase puchha 'Kaha tha itne saal, koi khabar bhi nahi?', Mera dhyan nazm ki pechida kadiyo se nikalkar uske sawal par gaya, Khudko jara sambhalate hue maine kaha 'Bas Bhatak raha tha, aagaj aur manzil dono ka hi pata nahi tha to kya karta'. Nuktta ke sath hi aksar mai is tarike se baate kiya karta tha, aaj kafi lambe arse ke baad juban ko firse wo lahje me baat karne ka mauka mila tha.
Usne jarasa haste hue kaha, 'aagaz ka pata hamesha apne pas rakhna chahiye, kahi nahi pahuch paye to lautkar dobara aagaz pe aa sakte hai'. Hum dono is baat pe muskura diye. Uski is baat ka waise koi jawab nahi tha mere pas par baat ko jari rakhana tha isliye maine kaha 'Pata to tha par sare raste band ho chuke the lautkar aane ke'. Usne mere un lafzo pe ya yu kaho jawab pe apni abroo ko upar kiya. Meri bato ko samazane ke kuchh khas mood me nahi tha wo isiliye shabdo ko tavajjo de raha tha.

Continue....

Tuesday 20 October 2009

Sham!!

Char su bas teri hi teri kami bhar degi,
Sham firse mere kamare ko udas kar degi.


Khidkiyo ki dhup chhav pe nazar rakhta hu,
Tanha itna hu ki aahto ko takata hu,
Ab to shisha bhi dhundala sa pad gaya hai bahot,
Usase apne chehare ko bachaye rakhta hu.
Zindagi ke andherone yu ghera hai muze
Ab sukun to bas maut ki sahar degi
Char su bas teri hi teri kami bhar degi,
Sham firse mere kamare ko udas kar degi.

Continued........

Sunday 11 October 2009

Raftah: Chapter 1

Dusri manjil pe H-3/25 number ka ek 1 BHK flat, bahar ek door bail lagi thi, usko dabane se pahale socha shayad darwaja khula ho, aur waisa hi hua. Darwaja khola to Farsh aur deewar ke rango ke alawa baki sab wahi purane ghar jaisa tha, chize, rakhrakhav, kushbu sab kuchh. Sirf makan badala tha ghar wahi 8 saal purana. Niche bichhe hue bistar ke pas hi 4 glass pade the, 3 khali aur ek jisme jarasi sharab bachi hui thi, usike pas Whisky ki ek khali botal aur ash tray cigret ke filters se bhara pada tha, tajub, abhi tak usme cancer ka koi symptom nahi dikhai de raha tha. Wo glass, jisme jarasi sharab bachi thi use dekhkar yahi lag raha tha ki raat shayad nasha sharab par havi raha. Bistar pe pade chadar ki silvato ne kisi adhuri nazm ka akar le rakha tha. Kapde bistar ke pas thake mande pade the shayad kal ki party ka nasha abhi tak unparse nahi utara tha. Ye tamam halato ka jayaja karne ke bad mere jahan me kuchh der ko ye khayal aaya ki ab bhi is ghar me hosh me rahne ki koi pabandi nahi hai, bura laga ya jalan hui pata nahi par tajub nahi hua ye kah sakta hu. Sach kahu to is ghar me dakhil hote hi yu laga jaise time machine hai aur muze 8 saal pahale ki zindagi se mukhatib karwaya ja raha hai. Kuchh der ke bad achanak ek jani pahchanisi par bhuli hui khushbu ne muze ek soch me dubo diya, fir achanak yad aaya BONG, jo is sham ki khamoshi ko aur jyada dilkash bana rahi thi. Agar dekha jaye to kuchh bhi nahi badla tha, ya yu kaho ki mere liye kuchh bhi naya nahi tha, sari chize, rakhrakhav, kushbu sab kuchh wahi waisa hi.
'Nuktaa' ne apni zindagi ko ab bhi apne giraft me rakha tha, achcha ya bura iske bare me sochane ka man aaj bhi nahi tha mera, 'Nuktaa' ki yahi ada thi 8 saal pahale bhi aur insha allah aaj bhi jyon ki tyon. Mai kuchh kho gaya tha us kamare ki chizo aur mahol me, us kamare se Ta'aaruf me itna dub gaya tha ki 'Nuktaa' ko awaz dena bhi yaad nahi raha, 8 saal pahale ki zindagi se mukhatib hone ki isase behatar jagah waise muze taumr kahi nahi milti.
'Nuktaa' ko dekhne andar ke kamar me jane se pahale hi nazar uthayi to dekha, Wahi chize, rakhrakhav sab kuchh waisa hi. Wahi chasme ki frame, Barmuda aur halke lal rang ki T shirt jispar Om ka symbol bana hua tha. Dekhte hi achanak mere jahan me khayal aya, kal ki raat Bhagwan bhi shayad nashe me honge aur man hi man has diya. Uske hath me ek cigret thi shayad 'Mild' wahi purana brand, muze dekha aur uske chehare ke sust tasur achanak samandar ke tufan ke tarah ufan pade, Mai bhi apne ahsas ko chehare pe aane se nahi rok paya. Kuchh der ek dusre ko dekhate rahe, shayad kya kya badala hai ya kya nahi badala ye dhudane ki koshish ki. 'Nuktaa' to ab bhi vahi tha madmast fakir jo wo khudko kariban pichhale 10 salo se bulata hai, mere me usko shayad kafi badlav nazar aaye honge waise bhi uski nazare muzse kahi jyada tajurbekar thi aur aaj bhi hogi iska blind faith na jane kyo muze aaj bhi tha.

Continued.......

Friday 9 October 2009

Kuchh aur bhi sabab hoga

Kuchh aur bhi sabab hoga
uske chhod jane ka,
Alava iske ki ab ishq me
ravani nahi bachi.

Firse ab khamosh hai sab kuchh,
lafzo me sirf awaz hi bachi hai
wo bhi chubhati hai kano me
aur gunjati hai zahan me raatbhar.
Ek ye bhi vajah hogi shayad
uske chhod jane ki,
Alava iske ki ab ishq me
ravani nahi bachi.

Wo muzme kisi aur ko talashati hai,
Aur ab mere pas to mai bhi nahi bacha
Vajud ke nam par fakat nam bacha hai,
baki to sab lut gaya,uske armano ki kharidari me
Ek ye bhi vajah hogi shayad
uske chhod jane ki,
Alava iske ki ab ishq me
ravani nahi bachi.

Karib itne hai ki saanse bhi takarati hai
Wo saans chhode to saans lu mai,
zindagi bati thi humne, ab saanse bhi bat li
Kurbat se bhi kahi ghutan hoti hai?
Ek ye bhi vajah hogi shayad
uske chhod jane ki,
Alava iske ki ab ishq me
ravani nahi bachi.