Friday 27 November 2009

Kuchh Bikhare Khayal...

Suna tha raste agar mil jaye
to manzil tak pahuchana mushkil nahi hota,

Usne jate hue apne pairo ke nishan bhi mita diye the!!
-------------------------------------------------------

Abhi abhi to ishq ki shurwat hui thi,
Ki majburan use muze chhodkar jana pada.

raat ka khwab tha subah hote hote tut gaya.
-------------------------------------------------------

Usase ek gila hamesha raha muzko,
Ki usne jane ki wajah nahi batayi kabhi.

Kuchh chize kisi na kisi bahanese zinda jarur rahati hai.
-------------------------------------------------------

Kal der raat tak seena jalata raha mera,
Uski yaade amuman roz yahi karati mere sath,

Raate jalati hai roz bas dhuaa nahi uthata, roshani nahi hoti.
-------------------------------------------------------

Usne kal aakar muze meri sari gazale lauta di,
tasveer bhi jala di khato ke sath,

Maine ishq ko jalate hue dekha hai, marte hue nahi dekha!!
(Ahsaso ka vajud purzo me nahi hota!!)
-------------------------------------------------------

Wo bahot der royi mere kandhe se lipatkar,
meri bahe tarbatar bhig chuki thi uske aasuo se.

Kal ke barish me suna hai kuchh purani imarate dhah gayi.
-------------------------------------------------------
-------------------------------------------------------

Ab na dar hai uske jane ka
Na ummid hai lautkar aane ki,
Ab kya vajah hogi 'shafak'
raat me nind na ane ki?

Tu lafzo ke khel me mahir hai,
dilchasp bada tu shayir hai,
Wize kahata hai khudko to fir,
koshish kar dil ko samzane ki
Ab kya vajah hogi 'shafak'
raat me nind na ane ki?

Tu uske jane pe jarur sharminda hai,
hairat hai fir bhi zinda hai,
Ilm hai usko mil jaye to maut uski honi hai,
Kitni jyada hoti hogi shiddat us parvane ki.
Ab kya vajah hogi 'shafak'
raat me nind na ane ki?

Continue........

Thursday 26 November 2009

Naseeb Hai...

Tuzko pana to mukkadar tha,
Tuzko khona bhi naseeb hai,
hum dono ko jeena hai jabki,
rishte ke sir par saleeb hai. (Saleeb: Fasi ka fanda, latakati talwar)

Na koi khata tumhari hai,
na meri galati hai koi,
rishte ki umr hi chhoti thi,
Aur hum bhi kuchh badnaseeb hai.
Tuzko pana to mukkadar tha,
Tuzko khona bhi naseeb hai.

Kuchh lamhe khushiyowale,
Jo humne kabhi jiye honge,
Ab uspar aankhe purnam hai,
Ishq ke khel bhi kitne ajeeb hai.
Tuzko pana to mukkadar tha,
Tuzko khona bhi naseeb hai.

Yaad tuze to karunga mai,
Tu bhi muzko kar lena jara,
Itna to haq hai ab bhi tuzpar,
Itna tu ab bhi kareeb hai.
Tuzko pana to mukkadar tha,
Tuzko khona bhi naseeb hai,

Monday 23 November 2009

Murda Khwab Bhi Hai...

Aankho me kuchh aansu hai aur kuchh murda khwab hai,
kuchh sawal hai aise jinke pahale hi pata jawab hai.

kitna ajeeb ye manjar hai jisme dil ulza ulza hai,
Ashkose labrez hai dil aur mithi si ek taab hai.
kuchh sawal hai aise jinke pata sare jawab bhi hai.

Mai tuzase wafa nibhau ab, ya khudse hi wafa karu,
Yaad hai ab bhi kasam wo teri aur hatho me sharab hai.
kuchh sawal hai aise jinke pata sare jawab hai.

Continue....

Saturday 21 November 2009

Aakhri Dafa.........

Ahsaan hi sahi aakhri dafa muzse milne aana tum
Hai jo mere pas tumhara, sab kuchh lekar jana tum.

yade hai kuchh, aur kuchh pal hai,
khwabo ke kuchh dhundhale mahal hai,
din din bhar ka intzar hai,
aur raate bozal bozal hai.
Jakhmo se chhalani hai dil ab halke se sahlana tum.
Ahsaan hi sahi aakhri dafa muzse milne aana tum
Hai jo mere pas hai tumhara, sab kuchh lekar jana tum.

Tumane likha hua ek khat hai,
aur ek taufa-e-furkat hai
ek tamanna mar jane ki,
aur kuchh jine ki dahshat hai.
Ub gaya hu jite jite, ek aakhri nind sulana tum.
Ahsaan hi sahi aakhri dafa muzse milne aana tum
Hai jo mere pas tumhara, sab kuchh lekar jana tum.

Ek tasveer bhi hai tumhari,mere sirhane rahati hai,
Aur ek tammanao ki imarat jo katra katra dhahati hai,
Aur ek jaan bhi hai meri jo ab meri to nahi bachi,
Ab bebas si saanse bankar mere jism me bahati hai.
Ab tum meri nahi ho koi is dil ko bhi samzana tum
Ahsaan hi sahi aakhri dafa muzse milne aana tum
Hai jo mere pas tumhara, sab kuchh lekar jana tum.

Wednesday 4 November 2009

Laut jate hai chal us daur me ek bar firse,
Aur karenge ek duje se shurwati pyar firse

Jaha se ishq ki alhad si shurwat ki thi humne,
Aur har ek pal jaise ek ek zindagi ji thi humne,
Kitne chizo ko suna tha aur kaha tha dilse,
kitne vade kiye the aur kitni kasme li thi humne
Laut jate hai chal us daur me ek bar firse.


Humko aatho pahar bas ek hi suroor hota tha,
Gar tere sath mai nahi rah yaado me juroor hota tha,
Mere aane ki aahat se tere chehare pe raunak aa jati,
Teri ek did se meri aankho me ek noor hota tha
Laut jate hai chal us daur me ek bar firse.


Bate karne ko maslo ki kaha jarurat padti thi,
ek bat nikalati aur fir apne aap hi badhati thi
Ruthane manane ke us khel me kitna luft hua karta
zara zara si bat pe tum bachcho jaise ladati thi
Laut jate hai chal us daur me ek bar firse.

Ab na wo lamhe, na wo tsavvur,na wo bate baki hai,
Ab shayad apne hisse me kuchh hairan si raate baki hai,
Batane ko kuchh bhi to nahi hai donoke bhi daman me,
Ishq ki ek tahzeeb ki khatir shayad mulakate baki hai.
Laut jate hai chal us daur me ek bar firse.
Aur karenge ek duje se wo shurwati pyar firse


Did: Didar, tahzeeb: aupcharikta,formality