Monday 22 March 2010

Mai Khwab Hu .....

Mai khwab hu teri rato ka, subah hogi aur mit jaunga,
Aur ye bhi wada nahi karta fir kab laut kar aaunga.


Mai khwab hu bas achcha hoga, aankho me hi rahne de muzko
Kyu palko me chhupake rakha hai, ashko me hi bahane de muzko.
Ye mashwara hai Meri khatir apna sukun barbad na kar,
Aitbar nahi mera koi mai kab tutkar bikhar jaunga.
Aur ye bhi wada nahi karta fir kab laut kar aaunga.

Mai mahtaab hu teri khatir, teri tanhai kuchh kam karta hu,
Khamosh andheri rato me shayad kuchh roshani bharata hu.
Par tuzko bhi hai ilm, sahar jo sabse badi haqikat hai,
Raat khilunga band aaknho me khulte se murzaunga.
Mai khwab hu teri rato ka, subah hogi aur mit jaunga.

Kucchh khwab raatbhar chubhate rahe,Teri aankhe aksar ye kahati hai
Itna aziz kyukar ho khwab, kyu itna dard wo sahti hai.
Mai waqt tha tera jo shayad aaya tha aur ab beet gaya,
Na wo lamhe kaid tu kar payi, na mai khudko dohraunga
Aur ye bhi wada nahi karta fir kab laut kar aaunga.

Khwabo ke sahare jine ki nakam si koshish chhod bhi de,
Jo judaa nahi tha vakai me, us rishte ki dor ko tod bhi de,
Mai haar chuka sab kuchh apna tu fir bhi jeet nahi payi
Ab bas jaan bachi hai deneko aur kuchh bhi na ab de paunga.
Aur ye bhi wada nahi karta fir kab laut kar aaunga.

Thursday 11 March 2010

Zamane Yaad Aaye...

Ek tuze bas yad kiya to kitne zamane yaad aaye,
Naya naya ahsas hua jab din wo purane yaad aaye.


Kitni bate badal gayi hai par mai shayad wahi raha,
Pahale teri yaad aayi aur fir maykhane yaad aaye.
Naya naya ahsas hua jab din wo purane yaad aaye.

Hairani hoti hai aksar muzko insani fitrat se,
Mahfil ki us bhid se muzko kyu virane yaad aaye?
Naya naya ahsas hua jab din wo purane yaad aaye.

Sahar se pahale jab chand falak se rukhsat lenewala tha,
Meri zid aur uspar tere shokh bahane yaad aaye.
Naya naya ahsas hua jab din wo purane yaad aaye.

Aaj achanak raat andhere ek nazm jahan me bunane lagi,
Bazm-e-dosto ki wah wahi, kuchh khali paimane yaad aaye.
Naya naya ahsas hua jab din wo purane yaad aaye.

Wo darakht ab tut gaya hai, do hisso me bat bhi gaya,
Fir bhi usko dekhate muzko do deewane yaad aaye.
Naya naya ahsas hua jab din wo purane yaad aaye.

Saturday 6 March 2010

Aankho Ke Samne.....

Aankho ke samne jab bhi teri tasveer padati hai.
Yaade teri badi der tak fir muzase ladati hai.

Wo is kadar bachaati hai muze duniya ki nazar se,
Gazale bhi meri aksar akele me padhti hai.
Yaade teri badi der tak fir muzase ladati hai.

Mai is kadar shamil hu shayad uski duvao me,
Wo muskura bhi de to meri umr badhati hai.
Yaade teri badi der tak fir muzase ladati hai.

Meri taqdir me kuchh bhi nahi ab uske alawa,
Wo aaye to sawar jaye wo jaye to bigadti hai.
Yaade teri badi der tak fir muzase ladati hai.

Kin lafjo se samzaye ‘Shafaq’ falsafa marasim ka,
Majburan ruh bhi ek din jism se bichhadati hai.
Yaade teri badi der tak fir muzase ladati hai.


Falsafa : Philosophy, Marasim : Rishta, Relation, Ruh : Aatma, Soul.

Wednesday 3 March 2010

Tera Chale Jana...


Har mulaqat ke baad tera chale jana, achcha nahi lagata,
Jate hue muzase wo tera hath chhudana, achcha nahi lagata.

Haal-e-dil mai jab tuzase bayan karata hoon,
Tera har baat pe shokh muskurana, achcha nahi lagata.
Jate hue muzase wo tera hath chhudana, achcha nahi lagata.

Tamanna meri bhi hai mai dekhu tuze sharmate hue,
Hathose yu chand chhupana, achcha nahi lagata.
Jate hue muzase wo tera hath chhudana, achcha nahi lagata.

Ishq nasha hai, bahakana jaruri hai bahot,
Har kadam pe sambal sambhal jana, achcha nahi lagata.
Jate hue muzase wo tera hath chhudana, achcha nahi lagata.

Nazar mile to dilo ki guftgu bhi ho 'shafaq',
Nazar mile na mile ke zukana, achcha nahi lagata.
Jate hue muzase wo tera hath chhudana, achcha nahi lagata.