Monday 27 April 2009

Kitni Duri Hai....

Kuchh samzote hai, kuchh majburi hai,
Bahot kareebi rishto me bhi kitni duri hai.

Dinbhar yu to kahane ko kitni baate hoti hai,
fir bhi gar dekha jaye, har baat adhuri hai.
Bahot kareebi rishto me bhi kitni duri hai.

Dekho ye marj mar na dale masum se rishte ko,
Dava be-asar hai ispe ab to dua jaruri hai.
Bahot kareebi rishto me bhi kitni duri hai.

Do bato se juda tha rishta, do bato se tut gaya
Kuchh meri khata hai shayad, kuchh teri magruri hai.
Bahot kareebi rishto me bhi kitni duri hai.
Achcha hua tu mila nahi muzko,
mil jata to shayad aihmiyat kam ho jati teri,
tuze pa leta to jaise fateh hasil kar leta tuzpe
aur fir bandh leta ek rishta hum dono ko
na mai, mai rahta aur na tuzme tu,
Hasil ho jaye to mohabbat rishta ban jati hai,
aur fir ek din ghutkar dum tod deti hai.

Achcha hua tu mila nahi muzko,
Kitna sukun hai teri yaado me hi,
sahar tak yaad karke bhi jee nahi bharata,
teri ek zalak mila jaye to din mukammal ho jaye,
teri tabassum pe na jane kitne sher likhe honge maine.
jo maja ishq na pakar karne me hai,
wo hasil mohabbat me nahi milta, sach me.

Achcha hua tu mila nahi muzko,

Wednesday 8 April 2009

In Dino....

Gum-e-furkat ki bechaini charo pahar hoti hai,
In dino kaha sham hoti hai, sahar hoti hai.

Tu ab kaun hai meri, apna rishta kya hai,
Ab bhi aate hai tufaan to kyo teri fikar hoti hai.
In dino kaha sham hoti hai, sahar hoti hai.

Laut aaye bhi tu, sambhalana bahot muskil hai mera,
Maut itane karib ho to davaaye beasar hoti hai.
In dino kaha sham hoti hai, sahar hoti hai.

Janata hu lautkar ab nahi aaoge kabhi,
Kitna samzau dil ko ummid magar hoti hai.
In dino kaha sham hoti hai, sahar hoti hai.

Monday 6 April 2009

Hum dono bhi badal gaye....

Pahale pahele bebak the hum tum ahista ahista sambhal gaye,
Kuchh rishta bhi badala shayad kuchh hum dono bhi badal gaye.

Kuchh lamhe aise bhi aaye the ishq mukammal ho jata,
shak au shikayato ki zanzat me wo lamhe bhi nikal gaye
Kuchh rishta bhi badala shayad kuchh hum dono bhi badal gaye.

Ab na tum ho, na wo baate na koi ishq ki surat hai,
Insaani fitrat to dekho yaado me bhi bahal gaye.
Kuchh rishta bhi badala shayad kuchh hum dono bhi badal gaye.

Kuchh der jarur hum ladate rahe furkat garm havao se,
Dhire dhire lekin fir bas katra katra pighal gaye.
Kuchh rishta bhi badala shayad kuchh hum dono bhi badal gaye.

'shafak' rishta hi tha, tutne pe itni taklif kyu,
Saanso ki tarah hi dil ko chhuaa, saanso ki tarah hi nikal gaye.
Kuchh rishta bhi badala shayad kuchh hum dono bhi badal gaye.

Thursday 2 April 2009

Shayad....

ishq haqikat me mukammal kabhi hota nahi shayad.
Agar ye janata to ye rishta pirota nahi shayad

Tune nafarat bhi ki hoti gar nafarato wali,
dafan kar deta is rishte ko wahi, dhota nahi shayad.
ishq haqikat me mukammal kabhi hota nahi shayad.

Tumko hasil kiya tha maine, paya nahi tha?
Agar pa liya hota to yuu khota nahi hsayad.
ishq haqikat me mukammal kabhi hota nahi shayad.

Isi rishte pe maine zindagi zinda rakha tha,
Wo marasim jo apne me kabhi tha nahi shayad.
ishq haqikat me mukammal kabhi hota nahi shayad.

Shayad....

ishq haqikat me mukammal kabhi hota nahi shayad.
Agar ye janata to ye rishta pirota nahi shayad

Tune nafarat bhi ki hoti gar nafarato wali,
dafan kar deta is rishte ko wahi, dhota nahi shayad.
ishq haqikat me mukammal kabhi hota nahi shayad.

Tumko hasil kiya tha maine, paya nahi tha?
Agar pa liya hota to yuu khota nahi hsayad.
ishq haqikat me mukammal kabhi hota nahi shayad.

Isi rishte pe maine zindagi ko zinda rakha tha,
Wo marasim jo apne me kabhi tha nahi shayad.
ishq haqikat me mukammal kabhi hota nahi shayad.

Wednesday 1 April 2009

Kanupriya !!

यह जो मैं गृहकाज से अलसा कर अक्सर
इधर चली आती हूँ
और कदम्ब की छाँह में शिथिल, अस्तव्यस्त
अनमनी-सी पड़ी रहती हूँ....



यह पछतावा अब मुझे हर क्षण
सालता रहता है कि
मैं उस रास की रात तुम्हारे पास से लौट क्यों आयी ?
जो चरण तुम्हारे वेणुवादन की लय पर
तुम्हारे नील जलज तन की परिक्रमा दे कर नाचते रहे
वे फिर घर की ओर उठ कैसे पाये
मैं उस दिन लौटी क्यों-
कण-कण अपने को तुम्हें दे कर रीत क्यों नहीं गयी ?
तुम ने तो उस रास की रात
जिसे अंशत: भी आत्मसात् किया
उसे सम्पूर्ण बना कर
वापस अपने-अपने घर भेज दिया


पर हाय वही सम्पूर्णता तो
इस जिस्म के एक-एक कण में
बराबर टीसती रहती है,
तुम्हारे लिए !



कैसे हो जी तुम ?
जब मैं जाना ही नहीं चाहती
तो बाँसुरी के एक गहरे अलाप से
मदोन्मत्त मुझे खींच बुलाते हो



और जब वापस नहीं आना चाहती
तब मुझे अंशत: ग्रहण कर
सम्पूर्ण बना कर लौटा देते हो !


By Dharmveer Bharati

Awara Gazal !!

Awara Gazal, aashique alfaz aur bebak tasvvur hai,
bahaki bahaki fizayen hai aur halka halka suroor hai.

Na khuda ko maine dekha hai na khuda janata hai muzko,
Apni to ibadat maykashi hai hum maykhano me mashur hai.
bahaki bahaki fizayen hai aur halka halka suroor hai.

Tune nafarat ki jo neki hai, maine ishq kiya jo gunaah hua
Meri vafao se sharminda tu, teri jafao pe muzko guroor hai.
bahaki bahaki fizayen hai aur halka halka suroor hai.

Tahzib ki baate chhod zara, awarapan ka luft bhi le
Yaha har nigah ko nazar nahi yaha dur dur tak daijur hai. daijur= Dark.
bahaki bahaki fizayen hai aur halka halka suroor hai.