Friday 20 March 2009

In Dino...

In dino nind bhi rishto si ho gai hai kuchh kuchh,
raat se subah tak bhi sath de nahi pati.
Bachpan me maa datati thi fir bhi utha jata nahi tha,
Ab maa datati hai sari raat sota kyu nahi.

Ek to nind nahi aur uspar raat andheri,
falak pe chand wo bhi dur bahot dur tanha.
Aur kuchh khayal purane kitabon jaise,
Kai baar padhe hue wahi kuchh khas panne,
Kuchh tute rishto ke jakhmo ke daag ab hai jahan me,
Pura din zuth me gujarata hai,
aur fir raat un zuth ki tarafdari karne me.
Insaan bhi har marj ki dava dhund hi leta hai.
Puri raat par ek chiz ki talash jari rahti hai,
aankhe bechain hokar dudhati rahti,
jism thak jata hai dhund dhunkar,
par nahi milti, sari raat nahi milti,
fir achanak subah se kuchh der pahale achanak
wo lipat jati hai aakar aur sula deti hai.
Nind bhi kambakt mere dosto se ziddi hai.
In dino nind bhi rishto si ho gai hai kuchh kuchh,
raat se subah tak bhi sath de nahi pati.