Wednesday 3 March 2010

Tera Chale Jana...


Har mulaqat ke baad tera chale jana, achcha nahi lagata,
Jate hue muzase wo tera hath chhudana, achcha nahi lagata.

Haal-e-dil mai jab tuzase bayan karata hoon,
Tera har baat pe shokh muskurana, achcha nahi lagata.
Jate hue muzase wo tera hath chhudana, achcha nahi lagata.

Tamanna meri bhi hai mai dekhu tuze sharmate hue,
Hathose yu chand chhupana, achcha nahi lagata.
Jate hue muzase wo tera hath chhudana, achcha nahi lagata.

Ishq nasha hai, bahakana jaruri hai bahot,
Har kadam pe sambal sambhal jana, achcha nahi lagata.
Jate hue muzase wo tera hath chhudana, achcha nahi lagata.

Nazar mile to dilo ki guftgu bhi ho 'shafaq',
Nazar mile na mile ke zukana, achcha nahi lagata.
Jate hue muzase wo tera hath chhudana, achcha nahi lagata.

3 comments:

Friend said...

Kitni sari bate hai jo achhi nahi lagti, fir bhi vo shaksh shayarke liye kitna khas hai ye is Gazalse samajhme ata hai

Anonymous said...

kyu aisa hota hai ki teri bahut bateen mujhe achii nahi lagti....
par meri har baat me teri hi baat hoti hai.....meri har kavitao me teri hi baat hoti hai !!!

Ajit Pandey said...

Thanks 'Friend' and 'Anonymous Friend', i would like to know ki kiski bato me aur kavitao me bhi mera jikr hota hai.....