Saturday 6 March 2010

Aankho Ke Samne.....

Aankho ke samne jab bhi teri tasveer padati hai.
Yaade teri badi der tak fir muzase ladati hai.

Wo is kadar bachaati hai muze duniya ki nazar se,
Gazale bhi meri aksar akele me padhti hai.
Yaade teri badi der tak fir muzase ladati hai.

Mai is kadar shamil hu shayad uski duvao me,
Wo muskura bhi de to meri umr badhati hai.
Yaade teri badi der tak fir muzase ladati hai.

Meri taqdir me kuchh bhi nahi ab uske alawa,
Wo aaye to sawar jaye wo jaye to bigadti hai.
Yaade teri badi der tak fir muzase ladati hai.

Kin lafjo se samzaye ‘Shafaq’ falsafa marasim ka,
Majburan ruh bhi ek din jism se bichhadati hai.
Yaade teri badi der tak fir muzase ladati hai.


Falsafa : Philosophy, Marasim : Rishta, Relation, Ruh : Aatma, Soul.

2 comments:

Friend said...

"Ek ek line padhte padhte jo yadoki "PRATIMA" bani hai vo ekdam magical hai"
Wordless!!!!!!
Keep it up!

One of Your Friend said...

Yaad yaad hoti hai wo jab bhi aaye bas un bitaye lamhon ki tasvir dikha deti hai....