Saturday 17 April 2010

Raat Yu aankh khuli....

Raat yu aankh khuli, kuchh khwab gire, tut gaye,
Tumko bas chhu hi liya tha ki tum chhut gaye.


Kitne shiddat se banate ho rabt, tajjub hai,
aansu tumhare sath na ho paye to ruth gaye.
Tumko bas chhu hi liya tha ki tum chhut gaye.

Khuda paththar me rakha tha, ab bhi kameel hai,
Insaan kaanch ke the sab, gire to fut gaye.
Tumko bas chhu hi liya tha ki tum chhut gaye.

Bachaye rakhe the ahsas tere mushkil se 'shafak',
Gazalo ke mausam is bar wo bhi lut gaye.
Tumko bas chhu hi liya tha ki tum chhut gaye.

No comments: