Thursday 3 December 2009

Adhure Harf.....

Ek adhuri gazal ko sirhane rakhkar
Andhere kamare me,tanaha, bistar pe
lete hue zindagi ke bite hue dino ko yaad kiya.
Sari yaade tatoli, sare vakaye yaad kiye,
ek chiz jo har jagah dikhi, adhurapan.
Kuchh rishte jo pure hokar bhi adhure the,
Kuchh armaan jo ab bhi kameel nahi the,
Kuchh khwab jinko sahar ne adhura rakha tha,
Kuchh ninde jo yaado ke ujalo se so nahi payi,
Ek hasi jisme kahi na kahi ek gam tha hamesha,
Ek ummid jisne abhi tak dam nahi toda tha,
raat ka adhurapan bhi jahan me tha,
Ek ajeeb sa intzar tha shayad kuchh hona hai is raat,
jo is raat ko mukammal kar dega,
Isi soch me aankhe buz gayi fir kabhi nahi jali,
Mere sirhane rakhi us adhuri gazal ko bhi dafan kar dena mere sath,
Meri zindagi ka adhurepan meri maut tak mere sath raha,
Humsafar isase achcha bhala kaha milta muzko.
roz adhuri maut marata tha aur firse adhuri zindagi jita raha mai,
aaj ek chiz puri hui, ek aakhri aur puri maut haseel hui,
tamam zindagi jis purnata ki pichhe duadata raha,
Wo is maut me chhipi thi kahi.
Adhurapan zindagi ko kahate hai shayad.
Maut mukammal kar deti hai safar ko.

Ek adhuri gazal ko sirhane rakhkar
Andhere kamare me,tanaha, bistar pe
lete hue zindagi ke bite hue dino ko yaad kiya.

1 comment:

Kapil Sharma said...

lamha lamha jeeta hun
lamha lamha marta hun
khuda kauff nahi tera
teri khudai se darta hun