Teri Yado Ki...
Tere yado ki saba raatbhar chalati rahi,
Dhadkane tez ho hokar ke sambhalati rahi.
Chandani raat thi, roshan tha chand bhi lekin,
Puri shab teri hi teri kami khalati rahi.
Dhadkane tez ho hokar ke sambhalati rahi.
Der tak jalati rahi aankhe,ashq bahate rahe,
Shamma bhi sath sath pighalati rahi.
Dhadkane tez ho hokar ke sambhalati rahi.
Mere manind chand bhi jaga tha 'shafaq',
Raat bebas bhi karavate badalati rahi.
Dhadkane tez ho hokar ke sambhalati rahi.
Sunday, 28 February 2010
Wednesday, 24 February 2010
Kitani Bate Hai....
Zuthi Muskan jo chehare pe saja rakhi hai,
kitani bate hai jo bevaja rakhi hai.
Unki shokhiyo ko dekhu ya ishq ko samzu,
Na bhi kahate hai aur chehare pe raja rakhi hai.
kitani bate hai jo bevaja rakhi hai.
Duniyadari sikh li hai, ab napak hu mai,
Teri tasveer magar aaj bhi pakija rakhi hai.
kitani bate hai jo bevaja rakhi hai.
Mai Ye sawal rozana karata hu apne khuda se,
Dilkash libas me kyu ishq ki saja rakhi hai.
kitani bate hai jo bevaja rakhi hai.
Koi dekhe na haqikat me kya hai tu 'Shafaq',
Darvaja band aur battiya bujha rakhi hai.

Sunday, 31 January 2010
Sadiyo se nibha rahe hai kuchh zuthe rishte,
Upar se mukkamal bhitar se tute rishte.
Jab kabhi bhi rishto me takrar hui, pech lagi,
Padosiyo ne bade maje se lute rishte.
Upar se mukkamal bhitar se tute rishte.
Jid jo puri hui to hasane lage, hasane lage,
Nahi to der tak bachchose ruthe rishte.
Upar se mukkamal bhitar se tute rishte.
Ub jane pe feka to sahi par ye na dekha tumne,
Kaanch ke jaise chhanse kaise fute rishte.

Tuesday, 12 January 2010
Shikan
Mere chehare pe ye kaisi shikan aati hai.
Kyu aaina dekhkar aankhe meri zuk jati hai.
Sune kamare ke sannato ki gunj me aksar
Ek purani aawaz visal-e-sham ko bulati hai.

Bahot jaruri hai din ke bad raat ka hona,
din rulata hai bahot to raat samzati hai.

Mere kamare me char su hai udasi hi udasi,
Bas teri tasveer hai jo aaj bhi muskurati hai.

Saturday, 9 January 2010
Kitni Hui Bate
Kitni hui bate magar kuchh bhi nahi kah pay mai,
maujo ke sath hokar bhi kabhi kyu nahi bah paya mai.
Na uski ummido ki surat ko haqikat me badala gaya,
Aur na apne aap me khud hi kabhi rah paya mai.

Tuti hue dil ki marammat ko to waqt na mila,
Aur na khandhar ke jaise befikr dah paya mai.

Maine hi to kaha tha kabhi, teri har ada hai sir aankho par,
Aur teri bevafai jarasi, kuchh der bhi na sah paya mai.

Thursday, 24 December 2009
Ishq Magar Kameel Raha....
Rishta tuta, dil bhi tute, ishq magar kameel raha
hath bhi chhute, daman chhuta, bas dil ko dil haseel raha.
Ashko ki kuchh lahare aakar palako pe to thahari thi
Fir bhi saharaa me sadiyo tak aankho ka sahil raha.

Hum dono jab juda hue, ek duje ke vaste khuda hue,
Muzme tu shamil rahi aur tuzme mai shamil raha.

Wednesday, 23 December 2009
Draft: Date : 22/07/2009
रोजाना शाम जब जलती है 'शफक'
कतरा कतरा आँख पिघलती है 'शफक'
इश्क से पहले, इश्क में औ बाद इश्क के
राहत दीवानों को नहीं मिलती है 'शफक'
कतरा कतरा आँख पिघलती है 'शफक'
खुदा को भी क्या दोष दु, मै जानता हु,
आजकल दुवाए कहा दिल से निकलती है 'शफक'
कतरा कतरा आँख पिघलती है 'शफक'
सुने सुने चुपचाप ये कहकशे सारे,
इन्ही सन्नाटो में फिर बात चलती है 'शफक'
कतरा कतरा आँख पिघलती है 'शफक'
रोजाना शाम जब जलती है 'शफक'
कतरा कतरा आँख पिघलती है 'शफक'
इश्क से पहले, इश्क में औ बाद इश्क के
राहत दीवानों को नहीं मिलती है 'शफक'
कतरा कतरा आँख पिघलती है 'शफक'
खुदा को भी क्या दोष दु, मै जानता हु,
आजकल दुवाए कहा दिल से निकलती है 'शफक'
कतरा कतरा आँख पिघलती है 'शफक'
सुने सुने चुपचाप ये कहकशे सारे,
इन्ही सन्नाटो में फिर बात चलती है 'शफक'
कतरा कतरा आँख पिघलती है 'शफक'
Subscribe to:
Posts (Atom)