Sunday, 31 January 2010

Sadiyo se nibha rahe hai kuchh zuthe rishte,
Upar se mukkamal bhitar se tute rishte.

Jab kabhi bhi rishto me takrar hui, pech lagi,
Padosiyo ne bade maje se lute rishte.
Upar se mukkamal bhitar se tute rishte.

Jid jo puri hui to hasane lage, hasane lage,
Nahi to der tak bachchose ruthe rishte.
Upar se mukkamal bhitar se tute rishte.

Ub jane pe feka to sahi par ye na dekha tumne,
Kaanch ke jaise chhanse kaise fute rishte.
Upar se mukkamal bhitar se tute rishte.

1 comment:

FRIEND.. said...

Shayari hamesha tute rishtepe ya fir kuch purani yadopehi kyo achhi lagti hai?
Shayad asi liye pyar karnevale kai Premi Sahyar bante hai....