Tuesday, 12 January 2010

Shikan

Mere chehare pe ye kaisi shikan aati hai.
Kyu aaina dekhkar aankhe meri zuk jati hai.


Sune kamare ke sannato ki gunj me aksar
Ek purani aawaz visal-e-sham ko bulati hai.
Kyu aaina dekhkar aankhe meri zuk jati hai.

Bahot jaruri hai din ke bad raat ka hona,
din rulata hai bahot to raat samzati hai.
Kyu aaina dekhkar aankhe meri zuk jati hai.

Mere kamare me char su hai udasi hi udasi,
Bas teri tasveer hai jo aaj bhi muskurati hai.
Kyu aaina dekhkar aankhe meri zuk jati hai.

2 comments:

Anirban Kar said...

saahi hai janab...
aap likhte rahiye, hum padte hai!

Ajit Pandey said...

Thank You Salim bhai.