Zindagi me Koi aaye jaye to gazal bane,
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.
Bahot likh liya ashko pe, nami pe humane,
Koi masoom muskuraye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.
Furkato ki numayish se ub gayi hai kalam,
Wo ab milane bulaye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.
Zuthi tarif bevafao ki ab nahi hoti,
Hume koi ruthane pe manaye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.
Jagati raato pe lafzo ko lutaya hai bahot,
Koi ab chain se sulaye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.
Unki jafao pe barbad kitne sher hue,
Wo ab jakhm sahlaye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.
Bando se jeet, haar aam baat hai 'shafaq'
Khuda se jo kabhi takaraye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.
15 comments:
Something is different than ur regular gazal... :)
Hmm. in fact nowadays I am short of words!!!
Yes. Very true Gazal.
U r gr8 Gazalkar as u can bind the feelings with magical word.
har baar aap likhte ho rone ya muskurane par....
par ab aap muskurau to...
gazal bane...
hum to har roz dekhte hai aapko...
par aap hum par gaur farmaye to...
gazal bane.....
Ohhh!!! Nice ashaar!! Waise its good ki na chehra pata hai na naam, bahot aasani hogi hume ek dusre aise bat karne me...
Thank U vidhi......
thank u very much for ur reply.....n thnks for accepting friendship without asking.
one doubt tht wt is the meaning of
"ashaar"?
Ashaar means.... sher (shayari). Tumne nam nai bataya apna?
aapne hi toh kaha tha k bina dekhe aur jane bahot aasani hogi baat karne me.........aur waise bhi agar aap hum par zara gaur farmayenge toh jarur naam bhi jaan jayenge.....dekhte hai kaun jitega?
hum aapse hamari pehchaan chupayenge aur aap hume dhoondenge........
Chhodo. kya karna pahchan nikal kar bhi... Kuchh rishte aisehi achche rahte.
hai ye bhi baat......bina pehchane baat karne ka maza hi alag hai.
sahi hai ye bhi baat............nima jane baat karne ka maza hi alag hai.
nice gazal.....very touchy.
hume aapse pyar hai yeh to hum hamesha se dikhate rahe,
par aap hume kbhi pyar bhari nazron se dekhe toh Gazal bane.
Post a Comment