Wednesday, 23 December 2009

Gazal Bane....

Zindagi me Koi aaye jaye to gazal bane,
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.


Bahot likh liya ashko pe, nami pe humane,
Koi masoom muskuraye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.

Furkato ki numayish se ub gayi hai kalam,
Wo ab milane bulaye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.

Zuthi tarif bevafao ki ab nahi hoti,
Hume koi ruthane pe manaye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.

Jagati raato pe lafzo ko lutaya hai bahot,
Koi ab chain se sulaye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.

Unki jafao pe barbad kitne sher hue,
Wo ab jakhm sahlaye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.

Bando se jeet, haar aam baat hai 'shafaq'
Khuda se jo kabhi takaraye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.