Sunday, 31 January 2010

Sadiyo se nibha rahe hai kuchh zuthe rishte,
Upar se mukkamal bhitar se tute rishte.

Jab kabhi bhi rishto me takrar hui, pech lagi,
Padosiyo ne bade maje se lute rishte.
Upar se mukkamal bhitar se tute rishte.

Jid jo puri hui to hasane lage, hasane lage,
Nahi to der tak bachchose ruthe rishte.
Upar se mukkamal bhitar se tute rishte.

Ub jane pe feka to sahi par ye na dekha tumne,
Kaanch ke jaise chhanse kaise fute rishte.
Upar se mukkamal bhitar se tute rishte.

Tuesday, 12 January 2010

Shikan

Mere chehare pe ye kaisi shikan aati hai.
Kyu aaina dekhkar aankhe meri zuk jati hai.


Sune kamare ke sannato ki gunj me aksar
Ek purani aawaz visal-e-sham ko bulati hai.
Kyu aaina dekhkar aankhe meri zuk jati hai.

Bahot jaruri hai din ke bad raat ka hona,
din rulata hai bahot to raat samzati hai.
Kyu aaina dekhkar aankhe meri zuk jati hai.

Mere kamare me char su hai udasi hi udasi,
Bas teri tasveer hai jo aaj bhi muskurati hai.
Kyu aaina dekhkar aankhe meri zuk jati hai.

Saturday, 9 January 2010

Kitni Hui Bate

Kitni hui bate magar kuchh bhi nahi kah pay mai,
maujo ke sath hokar bhi kabhi kyu nahi bah paya mai.

Na uski ummido ki surat ko haqikat me badala gaya,
Aur na apne aap me khud hi kabhi rah paya mai.
maujo ke sath hokar bhi kabhi kyu nahi bah paya mai.

Tuti hue dil ki marammat ko to waqt na mila,
Aur na khandhar ke jaise befikr dah paya mai.
maujo ke sath hokar bhi kabhi kyu nahi bah paya mai.

Maine hi to kaha tha kabhi, teri har ada hai sir aankho par,
Aur teri bevafai jarasi, kuchh der bhi na sah paya mai.
maujo ke sath hokar bhi kabhi kyu nahi bah paya mai.