Thursday, 24 December 2009

Ishq Magar Kameel Raha....

Rishta tuta, dil bhi tute, ishq magar kameel raha
hath bhi chhute, daman chhuta, bas dil ko dil haseel raha.


Ashko ki kuchh lahare aakar palako pe to thahari thi
Fir bhi saharaa me sadiyo tak aankho ka sahil raha.
hath bhi chhute, daman chhuta, bas dil ko dil haseel raha.

Hum dono jab juda hue, ek duje ke vaste khuda hue,
Muzme tu shamil rahi aur tuzme mai shamil raha.
hath bhi chhute, daman chhuta, bas dil ko dil haseel raha.

Wednesday, 23 December 2009

Draft: Date : 22/07/2009

रोजाना शाम जब जलती है 'शफक'
कतरा कतरा आँख पिघलती है 'शफक'


इश्क से पहले, इश्क में औ बाद इश्क के
राहत दीवानों को नहीं मिलती है 'शफक'
कतरा कतरा आँख पिघलती है 'शफक'

खुदा को भी क्या दोष दु, मै जानता हु,
आजकल दुवाए कहा दिल से निकलती है 'शफक'
कतरा कतरा आँख पिघलती है 'शफक'

सुने सुने चुपचाप ये कहकशे सारे,
इन्ही सन्नाटो में फिर बात चलती है 'शफक'
कतरा कतरा आँख पिघलती है 'शफक'

Gazal Bane....

Zindagi me Koi aaye jaye to gazal bane,
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.


Bahot likh liya ashko pe, nami pe humane,
Koi masoom muskuraye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.

Furkato ki numayish se ub gayi hai kalam,
Wo ab milane bulaye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.

Zuthi tarif bevafao ki ab nahi hoti,
Hume koi ruthane pe manaye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.

Jagati raato pe lafzo ko lutaya hai bahot,
Koi ab chain se sulaye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.

Unki jafao pe barbad kitne sher hue,
Wo ab jakhm sahlaye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.

Bando se jeet, haar aam baat hai 'shafaq'
Khuda se jo kabhi takaraye to gazal bane.
Koi Ishq ya nafarat jataye to gazal bane.

Saturday, 19 December 2009

Tuzase....

Meri har khushi tuzase, mera har gilaa tuzase,
Meri thaki hui saanso ka bhi hai silsila tuzase.

Aaj sahar chehare pe ek anjani khushi thi,
raat khwabo me mai shayad fir mila tuzase.
Meri thaki hui saanso ka bhi hai silsila tuzase.

Suna pada hai jism ka kafas, tu ruh thi,
Aabad tha zindagi ka kaafila tuzase.
Meri thaki hui saanso ka bhi hai silsila tuzase.

Thursday, 3 December 2009

Adhure Harf.....

Ek adhuri gazal ko sirhane rakhkar
Andhere kamare me,tanaha, bistar pe
lete hue zindagi ke bite hue dino ko yaad kiya.
Sari yaade tatoli, sare vakaye yaad kiye,
ek chiz jo har jagah dikhi, adhurapan.
Kuchh rishte jo pure hokar bhi adhure the,
Kuchh armaan jo ab bhi kameel nahi the,
Kuchh khwab jinko sahar ne adhura rakha tha,
Kuchh ninde jo yaado ke ujalo se so nahi payi,
Ek hasi jisme kahi na kahi ek gam tha hamesha,
Ek ummid jisne abhi tak dam nahi toda tha,
raat ka adhurapan bhi jahan me tha,
Ek ajeeb sa intzar tha shayad kuchh hona hai is raat,
jo is raat ko mukammal kar dega,
Isi soch me aankhe buz gayi fir kabhi nahi jali,
Mere sirhane rakhi us adhuri gazal ko bhi dafan kar dena mere sath,
Meri zindagi ka adhurepan meri maut tak mere sath raha,
Humsafar isase achcha bhala kaha milta muzko.
roz adhuri maut marata tha aur firse adhuri zindagi jita raha mai,
aaj ek chiz puri hui, ek aakhri aur puri maut haseel hui,
tamam zindagi jis purnata ki pichhe duadata raha,
Wo is maut me chhipi thi kahi.
Adhurapan zindagi ko kahate hai shayad.
Maut mukammal kar deti hai safar ko.

Ek adhuri gazal ko sirhane rakhkar
Andhere kamare me,tanaha, bistar pe
lete hue zindagi ke bite hue dino ko yaad kiya.

Na mile hote

Na mile hote na bichhadane ka gam hota,
kash wo bharam ab talak bharam hota.


Fir milenge hi kah diya hota jate hue,
Muzko dard to hota, magar kam hota.
kash ye marasim bas ek bharam hota.

Ab to jeena bhi jaise koi saza hai muzko,
Tu jo hota to sukun muzko har kadam hota.
kash ye marasim bas ek bharam hota.