Wednesday, 4 November 2009

Laut jate hai chal us daur me ek bar firse,
Aur karenge ek duje se shurwati pyar firse

Jaha se ishq ki alhad si shurwat ki thi humne,
Aur har ek pal jaise ek ek zindagi ji thi humne,
Kitne chizo ko suna tha aur kaha tha dilse,
kitne vade kiye the aur kitni kasme li thi humne
Laut jate hai chal us daur me ek bar firse.


Humko aatho pahar bas ek hi suroor hota tha,
Gar tere sath mai nahi rah yaado me juroor hota tha,
Mere aane ki aahat se tere chehare pe raunak aa jati,
Teri ek did se meri aankho me ek noor hota tha
Laut jate hai chal us daur me ek bar firse.


Bate karne ko maslo ki kaha jarurat padti thi,
ek bat nikalati aur fir apne aap hi badhati thi
Ruthane manane ke us khel me kitna luft hua karta
zara zara si bat pe tum bachcho jaise ladati thi
Laut jate hai chal us daur me ek bar firse.

Ab na wo lamhe, na wo tsavvur,na wo bate baki hai,
Ab shayad apne hisse me kuchh hairan si raate baki hai,
Batane ko kuchh bhi to nahi hai donoke bhi daman me,
Ishq ki ek tahzeeb ki khatir shayad mulakate baki hai.
Laut jate hai chal us daur me ek bar firse.
Aur karenge ek duje se wo shurwati pyar firse


Did: Didar, tahzeeb: aupcharikta,formality

2 comments:

Kshipra said...

Laut jate hai chal us daur me ek bar firse....


Ek no.

vidhi chopra said...

sir bahut achaa likha hai aapne...
main to fan ho gayi aaapki gazls ki...
apki hii gazal ko thoda sa modify kar ke likha hai maine...

laut jate us daur main ek baar phir se....
agar sath chalte vo hatho main hath de ke......
bhul jate is daur main bhi khud ko....
bas vo bol de 1 baaar ...
laut jate hai us daur me ek baar phi se.....