Saturday, 21 November 2009

Aakhri Dafa.........

Ahsaan hi sahi aakhri dafa muzse milne aana tum
Hai jo mere pas tumhara, sab kuchh lekar jana tum.

yade hai kuchh, aur kuchh pal hai,
khwabo ke kuchh dhundhale mahal hai,
din din bhar ka intzar hai,
aur raate bozal bozal hai.
Jakhmo se chhalani hai dil ab halke se sahlana tum.
Ahsaan hi sahi aakhri dafa muzse milne aana tum
Hai jo mere pas hai tumhara, sab kuchh lekar jana tum.

Tumane likha hua ek khat hai,
aur ek taufa-e-furkat hai
ek tamanna mar jane ki,
aur kuchh jine ki dahshat hai.
Ub gaya hu jite jite, ek aakhri nind sulana tum.
Ahsaan hi sahi aakhri dafa muzse milne aana tum
Hai jo mere pas tumhara, sab kuchh lekar jana tum.

Ek tasveer bhi hai tumhari,mere sirhane rahati hai,
Aur ek tammanao ki imarat jo katra katra dhahati hai,
Aur ek jaan bhi hai meri jo ab meri to nahi bachi,
Ab bebas si saanse bankar mere jism me bahati hai.
Ab tum meri nahi ho koi is dil ko bhi samzana tum
Ahsaan hi sahi aakhri dafa muzse milne aana tum
Hai jo mere pas tumhara, sab kuchh lekar jana tum.

8 comments:

Anonymous said...

It's too senti..i'm speechless...

vidhi said...

sir itna achaa kaha se soachte hoo
its too gooood...... and senti too..

jyoti said...

kyu rota hai baar-baar...
kabhi to hasna bhi sikh le..

jyoti said...

reply to kiya karo janab.....
reply ke liye ankhe taras gayi hamari 'Shafak'

Ajit Pandey said...

Well, reply kis chiz ka...

jyoti said...

ki itni rone wali gazals kyu likhte ho is baat ka reply....
vaise kuch bhi ho likhte mast ho aap..........

jyoti said...

itni senti gazals kyu likhte ho is chiz ka reply....
vaise kuch bhi ho likhte mast ho.........

Ajit Pandey said...

Gazale senti hi hoti hai... Ya fir mai senti hi likh pata hu.