Awara Gazal, aashique alfaz aur bebak tasvvur hai,
bahaki bahaki fizayen hai aur halka halka suroor hai.
Na khuda ko maine dekha hai na khuda janata hai muzko,
Apni to ibadat maykashi hai hum maykhano me mashur hai.
bahaki bahaki fizayen hai aur halka halka suroor hai.
Tune nafarat ki jo neki hai, maine ishq kiya jo gunaah hua
Meri vafao se sharminda tu, teri jafao pe muzko guroor hai.
bahaki bahaki fizayen hai aur halka halka suroor hai.
Tahzib ki baate chhod zara, awarapan ka luft bhi le
Yaha har nigah ko nazar nahi yaha dur dur tak daijur hai. daijur= Dark.
bahaki bahaki fizayen hai aur halka halka suroor hai.
4 comments:
Bahut hi UMDA
KAMAAAAAAAAAAAAAAL
Jiyo sher
Bahot Badhiya Gazal likhate ho aap.
Kabhi baithake baki gazal bhi sunayi
Really nice............
Smita
Ek number...
Khuda kare tum hamesha har ek dard aur khushi ko isi tarase sametlo aur apne GULDASTEme sametkar vo guldasta hame pesh karo!!!
Jyoti
EK NO. DHINCHAK......Shabbash re paththe....
Post a Comment