Tuesday, 12 May 2009

Ye Aasman Bhi Kabhi Kabhi...

Ye aasman bhi kabhi kabhi rakeebo sa lagata hai,
Sara din suraj se jalaata hai aur shab me chand se,
Tare to jaise hifajat ke liye hai chand ke,
Chand ko jara mohabbat se dekho to tut padenge.
Kambakht thik se didar bhi nahi karne deta,
badlo ka naqab chadha deta hai massom si shakal par.
Raat ke andhere me dur tak kuchh nahi hota,
sirf falak ke mathe pe ek gol bindi, balo me kuchh sitare.
Sochta hu agar ek chand aur ek suraj mere jamin ke bhi hote,
iska matha bhi sunaa nahi hota,
Sahar hoti to ek suraj ka diya yaha pe bhi jalta,
Iski bhi julfe lahrati to sitare jagmaga uthate.
Khuda bhi bada chalak hai,
Ishq muze diya aur chand apne mathe pe saja liya,
Roshni muzko de di aur aaftab khud rakh liya.
Andhero se jaked kar rakha muzko aur taro ki fauj aasman par.

Ye aasman bhi kabhi kabhi rakeebo sa lagata hai.

Tuesday, 5 May 2009

Kareeb Aa Raha Hu...

Jitna mai khudse kareeb aa raha hu,
aaina dekhanese ghabara raha hu.

Ye sochkar bhi ab to zuk jati hai nazare,
mai bhi kisi ka masiha raha hu.
aaina dekhanese ghabara raha hu.

Saanso ki zid hai aur duae kisi ki,
fakat do bato pe jiye ja raha hu.
aaina dekhanese ghabara raha hu.

Dhire dhire tuzse bhi fasale ho rahe hai,
kaha jana tha aur kaha ja raha hu.
aaina dekhanese ghabara raha hu.

Ye duniya wiezo ki saltnat hai,
kitne saalo se dil ko ye samaza raha hu.
aaina dekhanese ghabara raha hu.

Ab jo jodega koi to ghut jaunga mai,
sadiyo se yu hi mai bikhara raha hu.
aaina dekhanese ghabara raha hu.

Shikayat kyo ho muzko rakeebo se mere,
jab mai hi galtiya apni dohra raha hu.
aaina dekhanese ghabara raha hu.

Parhej hai muzko aankho ki nami se,
Mai jamane se ek tapta sahara raha hu.
aaina dekhanese ghabara raha hu.

Nami Hai...


Sir rakhke royi thi kabhi tu mere kandhe pe,
Ab talak mere jism pe tere ashko ki nami hai,
teri siskiya ab bhi gunjati hai kano me mere,
teri saanse ab bhi meri bahon me thami hai.

raat berham itni ki sitare bhi aftaab hai,
mai tanha, chand tanha, ittefak hai ki ajab hai,
kamoshi, gahra andhera aur tufaan teri yaadon ka
kahi pe tu udas hui hai shayad tabhi mausam kharab hai
nazar aaye kuchh itne bhi ujale nigaho me nahi,
aankhe fir bhi hai ziddi bahot raste pe jami hai.
teri siskiya ab bhi gunjati hai kano me mere,
teri saanse ab bhi meri bahon me thami hai.

Teri aankho se ashko ka nahi koi sailab nikal rha tha,
Mera kamzor ishq tha wo jo katra katra pighal raha tha,
ab wo barish tham to gayi par wo nami barkarar hai
tere ashko ki bundo se kal mera seena der tak jal raha tha.
Ye ilm hai muze bhi ki mukammal ishq hai aaj bhi,
Bas ye kalish hai ki rishte me kahi koi kami hai.
teri siskiya ab bhi gunjati hai kano me mere,
teri saanse ab bhi meri bahon me thami hai.